january kii thand ho aur borsi mein aag ho | जनवरी की ठंड हो और बोरसी में आग हो

  - Prashant Kumar

january kii thand ho aur borsi mein aag ho
baajre kii rotiyaan hon sarson ka phir saag ho

muskuraati dhoop mein baaja bajaata chaand ho
chaandni ke hont par meri ghazal ka raag ho

ik taraf mehboob ho aur ik taraf ho may-kada
bheegi bheegi raat ho dil mein sulagti aag ho

be-gunaahi paarsaai ka hua ho faisla
munsifon ke saamne hi teg pe phir daag ho

dastaani chal rahi ho saath mein sab baithe hon
taaza taaza doodh mein phir desi ghee kii laag ho

जनवरी की ठंड हो और बोरसी में आग हो
बाजरे की रोटियाँ हों सरसों का फिर साग हो

मुस्कुराती धूप में बाजा बजाता चाँद हो
चाँदनी के होंट पर मेरी ग़ज़ल का राग हो

इक तरफ़ महबूब हो और इक तरफ हो मय-कदा
भीगी भीगी रात हो दिल में सुलगती आग हो

बे-गुनाही पारसाई का हुआ हो फ़ैसला
मुंसिफ़ों के सामने ही तेग़ पे फिर दाग हो

दास्तानी चल रही हो साथ में सब बैठे हों
ताज़ा ताज़ा दूध में फिर देसी घी की लाग हो

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari