har khwaab kaali raat ke saanche mein dhaal kar | हर ख़्वाब काली रात के साँचे में ढाल कर - Adil Mansuri

har khwaab kaali raat ke saanche mein dhaal kar
ye kaun chhup gaya hai sitaare uchaal kar

aise dare hue hain zamaane ki chaal se
ghar mein bhi paanv rakhte hain hum to sanbhaal kar

khaana-kharaabiyo mein tira bhi pata nahin
tujh ko bhi kya mila humein ghar se nikaal kar

jhulsa gaya hai kaaghazi chehron ki dastaan
jaltee hui khamoshiyaan lafzon mein dhaal kar

ye phool khud hi sookh kar aayenge khaak par
tu apne haath se na inhen paayemaal kar

हर ख़्वाब काली रात के साँचे में ढाल कर
ये कौन छुप गया है सितारे उछाल कर

ऐसे डरे हुए हैं ज़माने की चाल से
घर में भी पाँव रखते हैं हम तो सँभाल कर

ख़ाना-ख़राबियों में तिरा भी पता नहीं
तुझ को भी क्या मिला हमें घर से निकाल कर

झुलसा गया है काग़ज़ी चेहरों की दास्ताँ
जलती हुई ख़मोशियाँ लफ़्ज़ों में ढाल कर

ये फूल ख़ुद ही सूख कर आएँगे ख़ाक पर
तू अपने हाथ से न इन्हें पाएमाल कर

- Adil Mansuri
1 Like

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Adil Mansuri

As you were reading Shayari by Adil Mansuri

Similar Writers

our suggestion based on Adil Mansuri

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari