jis se ye tabeeyat badi mushkil se lagi thi
dekha to vo tasveer har ik dil se lagi thi
tanhaai mein rote hain ki yun dil ko sukoon ho
ye chot kisi sahab-e-mehfil se lagi thi
ai dil tire aashob ne phir hashr jagaaya
bedard abhi aankh bhi mushkil se lagi thi
khilqat ka ajab haal tha us koo-e-sitam mein
saaye ki tarah daaman-e-qaatil se lagi thi
utara bhi to kab dard ka chadhta hua dariya
jab kashti-e-jaan maut ke saahil se lagi thi
जिस से ये तबीअत बड़ी मुश्किल से लगी थी
देखा तो वो तस्वीर हर इक दिल से लगी थी
तन्हाई में रोते हैं कि यूँ दिल को सुकूँ हो
ये चोट किसी साहब-ए-महफ़िल से लगी थी
ऐ दिल तिरे आशोब ने फिर हश्र जगाया
बेदर्द अभी आँख भी मुश्किल से लगी थी
ख़िल्क़त का अजब हाल था उस कू-ए-सितम में
साए की तरह दामन-ए-क़ातिल से लगी थी
उतरा भी तो कब दर्द का चढ़ता हुआ दरिया
जब कश्ती-ए-जाँ मौत के साहिल से लगी थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Faraz
our suggestion based on Ahmad Faraz
As you were reading Peace Shayari Shayari