qayaam-e-dair-o-tawaaf-e-haram nahin karte | क़याम-ए-दैर-ओ-तवाफ़-ए-हरम नहीं करते

  - Ahmad Rahi

qayaam-e-dair-o-tawaaf-e-haram nahin karte
zamaana-saaz to karte hain ham nahin karte

tumhaari zulf ko suljhaayenge vo deewane
jo apne chaak-e-garebaan ka gham nahin karte

utar chuka hai rag-o-pai mein zahar-e-gham phir bhi
b-paas-ahd-e-wafa chashm nam nahin karte

ye apna dil hai ki is haal mein bhi zinda hain
sitam kuchh ahl-e-sitam ham pe kam nahin karte

girifta-dil hain butaan-e-haram ki ab shaair
nashaat-o-aish ke saamaan bahm nahin karte

suna rahe hain jahaan ko hadees-e-daar-o-rasan
hikaayat-e-qad-o-gesoo raqam nahin karte

vo aastaan-e-shehi ho ki aastaana-e-dost
ye ab kahi sar-e-tasleem kham nahin karte

क़याम-ए-दैर-ओ-तवाफ़-ए-हरम नहीं करते
ज़माना-साज़ तो करते हैं हम नहीं करते

तुम्हारी ज़ुल्फ़ को सुलझाएँगे वो दीवाने
जो अपने चाक-ए-गरेबाँ का ग़म नहीं करते

उतर चुका है रग-ओ-पै में ज़हर-ए-ग़म फिर भी
ब-पास-अहद-ए-वफ़ा चश्म नम नहीं करते

ये अपना दिल है कि इस हाल में भी ज़िंदा हैं
सितम कुछ अहल-ए-सितम हम पे कम नहीं करते

गिरफ़्ता-दिल हैं बुतान-ए-हरम कि अब शाइर
नशात-ओ-ऐश के सामाँ बहम नहीं करते

सुना रहे हैं जहाँ को हदीस-ए-दार-ओ-रसन
हिकायत-ए-क़द-ओ-गेसू रक़म नहीं करते

वो आस्तान-ए-शही हो कि आस्ताना-ए-दोस्त
ये अब कहीं सर-ए-तस्लीम ख़म नहीं करते

  - Ahmad Rahi

Ghayal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Rahi

As you were reading Shayari by Ahmad Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Rahi

Similar Moods

As you were reading Ghayal Shayari Shayari