kabhi hayaat ka gham hai kabhi tira gham hai
har ek rang mein naakaamiyon ka maatam hai
khayal tha tire pahluu mein kuchh sukoon hoga
magar yahan bhi wahi iztiraab paiham hai
mere habeeb meri muskuraahaton pe na ja
khuda-gawah mujhe aaj bhi tira gham hai
sehar se rishta-e-ummeed baandhne waale
charaagh-e-zeest ki lau shaam hi se madhham hai
ye kis maqaam pe le aayi zindagi raahi
qadam qadam pe jahaan bebaasi ka aalam hai
कभी हयात का ग़म है कभी तिरा ग़म है
हर एक रंग में नाकामियों का मातम है
ख़याल था तिरे पहलू में कुछ सुकूँ होगा
मगर यहाँ भी वही इज़्तिराब पैहम है
मिरे हबीब मिरी मुस्कुराहटों पे न जा
ख़ुदा-गवाह मुझे आज भी तिरा ग़म है
सहर से रिश्ता-ए-उम्मीद बाँधने वाले
चराग़-ए-ज़ीस्त की लौ शाम ही से मद्धम है
ये किस मक़ाम पे ले आई ज़िंदगी 'राही'
क़दम क़दम पे जहाँ बेबसी का आलम है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Rahi
our suggestion based on Ahmad Rahi
As you were reading Zindagi Shayari Shayari