khud se milna milaana bhool gaye
log apna thikaana bhool gaye
rang hi se fareb khaate rahein
khushbuen aazmaana bhool gaye
tere jaate hi ye hua mehsoos
aaine jagmagana bhool gaye
jaane kis haal mein hain kaise hain
ham jinhen yaad aana bhool gaye
paar utar to gaye sabhi lekin
sahilon par khazana bhool gaye
dosti bandagi wafa-o-khuloos
ham ye shamaein jalana bhool gaye
ख़ुद से मिलना मिलाना भूल गए
लोग अपना ठिकाना भूल गए
रंग ही से फ़रेब खाते रहें
ख़ुशबुएँ आज़माना भूल गए
तेरे जाते ही ये हुआ महसूस
आइने जगमगाना भूल गए
जाने किस हाल में हैं कैसे हैं
हम जिन्हें याद आना भूल गए
पार उतर तो गए सभी लेकिन
साहिलों पर ख़ज़ाना भूल गए
दोस्ती बंदगी वफ़ा-ओ-ख़ुलूस
हम ये शमएँ जलाना भूल गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anjum Ludhianvi
our suggestion based on Anjum Ludhianvi
As you were reading Diversity Shayari Shayari