kisi amal ke hisaab jaise
tujhe main dekhoon jawaab jaise
shabaab teri ye husn-e-dil mein
chhalk pada hai sharaab jaise
yun khoobsurat hasi hai teri
khile chaman ke gulaab jaise
hain mujhmein yun to hazaar baatein
magar hoon chup main kitaab jaise
jo subah bistar se main utha to
hai dekha maa ko savaab jaise
ye ab jo armaan main likha hoon
magar tha pehle ye khwaab jaise
किसी अमल के हिसाब जैसे
तुझे मैं देखूँ जवाब जैसे
शबाब तेरी ये हुस्न-ए-दिल में
छलक पड़ा है शराब जैसे
यूँ ख़ूबसूरत हँसी है तेरी
खिले चमन के गुलाब जैसे
हैं मुझमें यूँ तो हज़ार बातें
मगर हूँ चुप मैं किताब जैसे
जो सुब्ह बिस्तर से मैं उठा तो
है देखा माँ को सवाब जैसे
ये अब जो 'अरमान' मैं लिखा हूँ
मगर था पहले ये ख़्वाब जैसे
As you were reading Shayari by Arman Habib
our suggestion based on Arman Habib
As you were reading undefined Shayari