ham se be-intihaa rakhte to hain raghbat maa baap | हम से बे-इंतिहा रखते तो हैं रग़बत माँ बाप

  - A R Sahil "Aleeg"

ham se be-intihaa rakhte to hain raghbat maa baap
aur ghalti ho to karte hain mazammat maa baap

saare aalam mein hamein koii na chahe itna
jitni karte hain yahan ham se muhabbat maa baap

laakh aulaad rakhe aib phire naakaara
uski bhi karte museebat se hifazat maa baap

shaan mein unki karein aap bhale gustaakhi
dil mein laate hi nahin phir bhi kudoorat maa baap

khush naseebi hai meri aur khuda kii nemat
maine paaye hain yahan jinki badaulat maa baap

jinko paala hai lahu de ke unhin bachchon ko
aise lagte hain budaape mein hon aaft maa baap

martaba ilm-o-hunar naam ye shohrat daulat
paas ye sab hai tumhaari hi badaulat maa baap

tab samajh aata hai maa baap kii qeemat kya thi
jab hamesha ke liye hote hain rukhsat maa baap

kaise jeena hai zamaane mein hame ai saahil
hamko ta-umr ye dete hai naseehat maa baap

हम से बे-इंतिहा रखते तो हैं रग़बत माँ बाप
और ग़लती हो तो करते हैं मज़म्मत माँ बाप

सारे आलम में हमें कोई न चाहे इतना
जितनी करते हैं यहाँ हम से मुहब्बत माँ बाप

लाख औलाद रखे ऐब फिरे नाकारा
उसकी भी करते मुसीबत से हिफ़ाज़त माँ बाप

शान में उनकी करें आप भले गुस्ताख़ी
दिल में लाते ही नहीं फिर भी कुदूरत माँ बाप

ख़ुश नसीबी है मेरी और ख़ुदा की नेमत
मैने पाए हैं यहाँ जिनकी बदौलत माँ बाप

जिनको पाला है लहू दे के उन्हीं बच्चों को
ऐसे लगते हैं बुढापे में हों आफ़त माँ बाप

मर्तबा इल्म-ओ-हुनर नाम ये शोहरत दौलत
पास ये सब है तुम्हारी ही बदौलत माँ बाप

तब समझ आता है माँ बाप की क़ीमत क्या थी
जब हमेशा के लिए होते हैं रुख़सत माँ बाप

कैसे जीना है ज़माने में हमे ऐ साहिल
हमको ता-उम्र ये देते है नसीहत माँ बाप

  - A R Sahil "Aleeg"

Father Shayari

Our suggestion based on your choice

More by A R Sahil "Aleeg"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"

Similar Moods

As you were reading Father Shayari Shayari