ilm ka iqtibaas hai baqi | इल्म का इक़्तिबास है बाक़ी

  - A R Sahil "Aleeg"

ilm ka iqtibaas hai baqi
yaani hosh-o-hawas hai baqi

vo sunega kabhi to meri sada
saans jab tak hai aas hai baaki

aap chahein to cheen len ye bhi
rooh par jo libaas hai baqi

kya bujhaayega pyaas sehra kii
khud hi dariya kii pyaas hai baaki

jitni khushiyaan thi le gaya sab ishq
ab to gham kii asaas hai baqi

dam bhi toote to teri chaukhat par
bas yahi iltimaas hai baqi

dard aankhon se bah hi jaayega
inmein kaafi ruwaas hai baqi

tu bhi niklega bewafa ik din
zehan mein ik qiyaas hai baqi

soorat-e dost aayega saahil
jo bhi mauqa-shanaas hai baaki

इल्म का इक़्तिबास है बाक़ी
यानी होश-ओ-हवास है बाक़ी

वो सुनेगा कभी तो मेरी सदा
साँस जब तक है आस है बाक़ी

आप चाहें तो छीन लें ये भी
रूह पर जो लिबास है बाक़ी

क्या बुझाएगा प्यास सहरा की
ख़ुद ही दरिया की प्यास है बाक़ी

जितनी ख़ुशियाँ थी ले गया सब इश्क़
अब तो ग़म की असास है बाक़ी

दम भी टूटे तो तेरी चौखट पर
बस यही इल्तिमास है बाक़ी

दर्द आँखों से बह ही जाएगा
इनमें काफ़ी रुवास है बाक़ी

तू भी निकलेगा बेवफ़ा इक दिन
ज़ेहन में इक क़ियास है बाक़ी

सूरत-ए दोस्त आएगा 'साहिल'
जो भी मौक़ा-शनास है बाक़ी

  - A R Sahil "Aleeg"

More by A R Sahil "Aleeg"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari