husn se sharh hui ishq ke afsaane ki | हुस्न से शरह हुई इश्क़ के अफ़्साने की - Arzoo Lakhnavi

husn se sharh hui ishq ke afsaane ki
sham'a lau de ke zabaan ban gai parwaane ki

shaan basti se nahin kam mere veeraane ki
rooh har bondle mein hai kisi deewane ki

aamad-e-mausam-e-gul ki hai khabar daur-e-digar
taazgi chahiye kuch saakht mein paimaane ki

aayi hai kaat ke mee'aad-e-aseeri ki bahaar
hatkadi khul ke giri jaati hai deewane ki

sard ai sham'a na ho garmi-e-bazaar-e-jamaal

phoonk de rooh nayi laash mein parwaane ki
uth khada ho to bagoola hai jo baithe to ghubaar

khaak ho kar bhi wahi shaan hai deewane ki
aarzoo khatm haqeeqat pe hua daur-e-majaaz

daali kaabe ki bina aad se but-khaane ki

हुस्न से शरह हुई इश्क़ के अफ़्साने की
शम्अ लौ दे के ज़बाँ बन गई परवाने की

शान बस्ती से नहीं कम मिरे वीराने की
रूह हर बोंडले में है किसी दीवाने की

आमद-ए-मौसम-ए-गुल की है ख़बर दौर-ए-दिगर
ताज़गी चाहिए कुछ साख़्त में पैमाने की

आई है काट के मीआद-ए-असीरी की बहार
हतकड़ी खुल के गिरी जाती है दीवाने की

सर्द ऐ शम्अ न हो गर्मी-ए-बाज़ार-ए-जमाल

फूँक दे रूह नई लाश में परवाने की
उठ खड़ा हो तो बगूला है जो बैठे तो ग़ुबार

ख़ाक हो कर भी वही शान है दीवाने की
'आरज़ू' ख़त्म हक़ीक़त पे हुआ दौर-ए-मजाज़

डाली काबे की बिना आड़ से बुत-ख़ाने की

- Arzoo Lakhnavi
0 Likes

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Arzoo Lakhnavi

As you were reading Shayari by Arzoo Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Arzoo Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari