chan ke aati hai jo ye raushni darwaaze se | छन के आती है जो ये रौशनी दरवाज़े से

  - Ashraf Yousafi

chan ke aati hai jo ye raushni darwaaze se
kya mujhe dekh raha hai koi darwaaze se

ghar ki takhti se mila aaj mujhe apna pata
apne hone ki gawaahi mili darwaaze se

main ne dahleez se jaane ki ijaazat le li
phir meri baat na tay ho saki darwaaze se

ek rozan mein padi aankh se khulne lage hain
ek deewaar ke andar kai darwaaze se

main ne is khwaab ko andar kahi mismar kiya
meri awaaz na baahar gai darwaaze se

raat bhar siskiyaan leta hai koi shakhs yahan
kabhi deewaar se lag kar kabhi darwaaze se

khaali kamra mera kis chaap se bhar jaata hai
aata jaata hi nahin jab koi darwaaze se

ek khushboo ne qadam bhool ke baahar rakha
phir gali aankh milaane lagi darwaaze se

roz ik shehr-e-pur-asraar mein kho jaata hoon
wahi galiyaan wahi raaste wahi darwaaze se

tu ne mahtaab nikalte hue dekha hai kabhi
aur mahtaab bhi aise kisi darwaaze se

छन के आती है जो ये रौशनी दरवाज़े से
क्या मुझे देख रहा है कोई दरवाज़े से

घर की तख़्ती से मिला आज मुझे अपना पता
अपने होने की गवाही मिली दरवाज़े से

मैं ने दहलीज़ से जाने की इजाज़त ले ली
फिर मिरी बात न तय हो सकी दरवाज़े से

एक रौज़न में पड़ी आँख से खुलने लगे हैं
एक दीवार के अंदर कई दरवाज़े से

मैं ने इस ख़्वाब को अंदर कहीं मिस्मार किया
मेरी आवाज़ न बाहर गई दरवाज़े से

रात भर सिसकियाँ लेता है कोई शख़्स यहाँ
कभी दीवार से लग कर कभी दरवाज़े से

ख़ाली कमरा मिरा किस चाप से भर जाता है
आता जाता ही नहीं जब कोई दरवाज़े से

एक ख़ुशबू ने क़दम भूल के बाहर रक्खा
फिर गली आँख मिलाने लगी दरवाज़े से

रोज़ इक शहर-ए-पुर-असरार में खो जाता हूँ
वही गलियाँ वही रस्ते वही दरवाज़े से

तू ने महताब निकलते हुए देखा है कभी
और महताब भी ऐसे किसी दरवाज़े से

  - Ashraf Yousafi

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ashraf Yousafi

As you were reading Shayari by Ashraf Yousafi

Similar Writers

our suggestion based on Ashraf Yousafi

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari