hame ishq ke jitne maare mile hain
muqaddar se sab log haare mile hain
mare hain sanam par sahe hain sitam bhi
deewane sabhi hi bichaare mile hain
wafa ki imarat bhi taameer kar ke
hua kuchh nahin bas khasaare mile hain
jahaan se pare hai qalander mohalla
sabhi aankh par se utaare mile hain
safar hijr ka mera aasaan yun hai
mujhe kais ke sab ishaare mile hain
bahaarein mile ye muqaddar kahaan hai
gulaabon ke bhi hont khaare mile hain
ghadi itr jungle judaai gham-e-dil
mujhe usse tohfe ye saare mile hain
samandar na sehra na koi zameen hai
ye khwaabon mein kaise kinaare mile hain
munavvar hai dard-e-sukhan mere hisse
mohabbat mein ye istiaare mile hain
abhi isko sayyad khaamoshi se padh tu
tujhe ishq ke jo sipaare mile hain
हमे इश्क़ के जितने मारे मिले हैं
मुक़द्दर से सब लोग हारे मिले हैं
मरे हैं सनम पर, सहे हैं सितम भी
दिवाने सभी ही बिचारे मिले हैं
वफ़ा की इमारत भी तामीर कर के
हुआ कुछ नहीं बस ख़सारे मिले हैं
जहाँ से परे है क़लंदर मोहल्ला
सभी आँख पर से उतारे मिले हैं
सफ़र हिज्र का मेरा आसान यूँ है
मुझे कैस के सब इशारे मिले हैं
बहारें मिले ये मुकद्दर कहाँ है
गुलाबों के भी होंठ खारे मिले हैं
घड़ी, इत्र, जंगल, जुदाई, ग़म-ए-दिल,
मुझे उससे तोहफ़े ये सारे मिले हैं
समंदर न सहरा न कोई ज़मीं है
ये ख़्वाबों में कैसे किनारे मिले हैं
मुनव्वर है दर्द-ए-सुख़न मेरे हिस्से
मोहब्बत में ये इस्तिआरे मिले हैं
अभी इसको सय्यद ख़ामोशी से पढ़ तू
तुझे इश्क़ के जो सिपारे मिले हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aves Sayyad
our suggestion based on Aves Sayyad
As you were reading Jafa Shayari Shayari