ham koii naadaan nahin ki bachchon kii sii baat karein | हम कोई नादान नहीं कि बच्चों की सी बात करें

  - Aziz Bano Darab Wafa

ham koii naadaan nahin ki bachchon kii sii baat karein
jeena koii khel nahin hai baitho tuk kii baat karein

shiv to nahin ham phir bhi ham ne duniya bhar ke zahar piye
itni kadvaahat hai munh mein kaise meethi baat karein

hamne sab ko muflis pa ke tod diya dil ka kashkol
hamko koii kya de dega kyun munh-dekhi baat karein

hamne kab ye gur seekha ham thehre seedhe-saade log
jiski jaisi fitrat dekhen usse waisi baat karein

हम कोई नादान नहीं कि बच्चों की सी बात करें
जीना कोई खेल नहीं है बैठो तुक की बात करें

शिव तो नहीं हम फिर भी हम ने दुनिया भर के ज़हर पिए
इतनी कड़वाहट है मुँह में कैसे मीठी बात करें

हमने सब को मुफ़्लिस पा के तोड़ दिया दिल का कश्कोल
हमको कोई क्या दे देगा क्यूँ मुँह-देखी बात करें

हमने कब ये गुर सीखा हम ठहरे सीधे-सादे लोग
जिसकी जैसी फ़ितरत देखें उससे वैसी बात करें

  - Aziz Bano Darab Wafa

More by Aziz Bano Darab Wafa

As you were reading Shayari by Aziz Bano Darab Wafa

Similar Writers

our suggestion based on Aziz Bano Darab Wafa

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari