haal us taraf ka jaanna dushwaar hai bashar
kaafi buland beech kii deewaar hai bashar
sar par ajal khadi hai kahaan saaya-e-shajar
samjhe ho jisko shaakh vo talwaar hai bashar
jis shakhs se miloge tamasha dikhaayega
jo bhi hai is nagar mein kalaakaar hai bashar
phir ye saza ke khauf se ghabra rahe ho kyun
tumko to apne jurm ka iqaar hai bashar
apni garz se milte hain ik doosre se log
koii kisi ka yaar na gham-khwaar hai bashar
heera nahin jo mol bataate hue firo
kaun is jahaan mein dil ka khareedaar hai bashar
hote yahan hain jalwa-e-yusuf ke saude bhi
duniya tamaam misr ka bazaar hai bashar
garche khuda-numa hai koii to bashar hi hai
bazm-e-butaan mein ek hi fankaar hai bashar
हाल उस तरफ़ का जानना दुश्वार है बशर
काफ़ी बुलन्द बीच की दीवार है बशर
सर पर अजल खड़ी है कहाँ साया-ए-शजर
समझे हो जिसको शाख़ वो तलवार है बशर
जिस शख़्स से मिलोगे तमाशा दिखाएगा
जो भी है इस नगर में कलाकार है बशर
फिर ये सज़ा के ख़ौफ़ से घबरा रहे हो क्यूँ
तुमको तो अपने जुर्म का इक़रार है बशर
अपनी ग़रज़ से मिलते हैं इक दूसरे से लोग
कोई किसी का यार न ग़म-ख़्वार है बशर
हीरा नहीं जो मोल बताते हुए फिरो
कौन इस जहाँ में दिल का ख़रीदार है बशर
होते यहाँ हैं जल्वा-ए-यूसुफ़ के सौदे भी
दुनिया तमाम मिस्र का बाज़ार है बशर
गरचे ख़ुदा-नुमा है कोई तो 'बशर' ही है
बज़्म-ए-बुताँ में एक ही फ़नकार है 'बशर'
As you were reading Shayari by Dharmesh bashar
our suggestion based on Dharmesh bashar
As you were reading undefined Shayari