taazgi gul mein na kaliyon mein ada baaki hai | ताज़गी गुल में न कलियों में अदा बाक़ी है

  - Dharmesh bashar

taazgi gul mein na kaliyon mein ada baaki hai
baagbaan tu hi bata baagh mein kya baaki hai

zaalimon ne abhi dekhi hai faqat mehr-e-khudaa
unse kah do ki abhi qahr-e-khuda baaki hai

subah tak door rahe shab ke andheron se kaho
ab bhi in bujhte charaagon mein ziya baaki hai

bas abhi tak to marodi hai zabaan munsif ne
haq-bayaani kii abhi aur saza baaki hai

baagh ke baagh ujaade hain khizaon ne magar
ek vo phool jo aankhon mein khila baaki hai

mujhko ehsaas hatheli sa naram hai lagta
meri aankhon mein abhi rang-e-hina baaki hai

unko paane kii hai ummeed vo jhoothi hi sahi
kuchh to haathon kii lakeeron mein likha baaki hai

aa gaye door bahut aisi jagah par ki bashar
hain azaanen na haram sirf khala baaki hai

ताज़गी गुल में न कलियों में अदा बाक़ी है
बाग़बाँ तू ही बता बाग़ में क्या बाक़ी है

ज़ालिमों ने अभी देखी है फ़क़त महर-ए-ख़ुदा
उनसे कह दो कि अभी क़हर-ए-ख़ुदा बाक़ी है

सुबह तक दूर रहे शब के अँधेरों से कहो
अब भी इन बुझते चराग़ों में ज़िया बाक़ी है

बस अभी तक तो मरोड़ी है ज़बाँ मुंसिफ़ ने
हक़-बयानी की अभी और सज़ा बाक़ी है

बाग़ के बाग़ उजाड़े हैं ख़िज़ाओं ने मगर
एक वो फूल जो आँखों में खिला बाक़ी है

मुझको एहसास हथेली सा नरम है लगता
मेरी आँखों में अभी रंग-ए-हिना बाक़ी है

उनको पाने की है उम्मीद वो झूठी ही सही
कुछ तो हाथों की लकीरों में लिखा बाक़ी है

आ गए दूर बहुत ऐसी जगह पर कि 'बशर'
हैं अज़ानें न हरम सिर्फ़ ख़ला बाक़ी है

  - Dharmesh bashar

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari