patthar ke jigar waalo gham mein vo rawaani hai | पत्थर के जिगर वालो ग़म में वो रवानी है

  - Bashir Badr

patthar ke jigar waalo gham mein vo rawaani hai
khud raah bana lega bahta hua paani hai

ik zehen-e-pareshaan mein khwaab-e-ghazlistaan hai
patthar ki hifazat mein sheeshe ki jawaani hai

dil se jo chatte baadal to aankh mein saawan hai
thehra hua dariya hai bahta hua paani hai

ham-rang-e-dil-e-pur-khoon har laala-e-sehraai
gesu ki tarah muztar ab raat ki raani hai

jis sang pe nazrein keen khurshid-e-haqeeqat hai
jis chaand se munh moda patthar ki kahaani hai

ai peer-e-khirad-mandaan dil ki bhi zaroorat hai
ye sheher-e-ghazaalaan hai ye mulk-e-jawaani hai

gham wajh-e-figaar-e-dil gham wajh-e-qaraar-e-dil
aansu kabhi sheesha hai aansu kabhi paani hai

is hausla-e-dil par ham ne bhi kafan pahna
hans kar koi poochhega kya jaan ganwaani hai

din talkh haqaaiq ke seharaaon ka suraj hai
shab gesu-e-afsana yaadon ki kahaani hai

vo husn jise ham ne rusva kiya duniya mein
na-deeda haqeeqat hai na-gufta kahaani hai

vo misra-e-aawaara deewaanon pe bhari hai
jis mein tire gesu ki be-rabt kahaani hai

ham khushboo-e-aawaara ham noor-e-pareshaan hain
ai badr muqaddar mein aashufta-bayaani hai

पत्थर के जिगर वालो ग़म में वो रवानी है
ख़ुद राह बना लेगा बहता हुआ पानी है

इक ज़ेहन-ए-परेशाँ में ख़्वाब-ए-ग़ज़लिस्ताँ है
पत्थर की हिफ़ाज़त में शीशे की जवानी है

दिल से जो छटे बादल तो आँख में सावन है
ठहरा हुआ दरिया है बहता हुआ पानी है

हम-रंग-ए-दिल-ए-पुर-ख़ूँ हर लाला-ए-सहराई
गेसू की तरह मुज़्तर अब रात की रानी है

जिस संग पे नज़रें कीं ख़ुर्शीद-ए-हक़ीक़त है
जिस चाँद से मुँह मोड़ा पत्थर की कहानी है

ऐ पीर-ए-ख़िरद-मंदाँ दिल की भी ज़रूरत है
ये शहर-ए-ग़ज़ालाँ है ये मुल्क-ए-जवानी है

ग़म वज्ह-ए-फ़िगार-ए-दिल ग़म वज्ह-ए-क़रार-ए-दिल
आँसू कभी शीशा है आँसू कभी पानी है

इस हौसला-ए-दिल पर हम ने भी कफ़न पहना
हँस कर कोई पूछेगा क्या जान गँवानी है

दिन तल्ख़ हक़ाएक़ के सहराओं का सूरज है
शब गेसु-ए-अफ़्साना यादों की कहानी है

वो हुस्न जिसे हम ने रुस्वा किया दुनिया में
नादीदा हक़ीक़त है ना-गुफ़्ता कहानी है

वो मिस्रा-ए-आवारा दीवानों पे भारी है
जिस में तिरे गेसू की बे-रब्त कहानी है

हम ख़ुशबू-ए-आवारा हम नूर-ए-परेशाँ हैं
ऐ 'बद्र' मुक़द्दर में आशुफ़्ता-बयानी है

  - Bashir Badr

Husn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Husn Shayari Shayari