sar se pa tak vo gulaabon ka shajar lagta hai
ba-wazoo ho ke bhi chhoote hue dar lagta hai
main tire saath sitaaron se guzar saka hoon
kitna aasaan mohabbat ka safar lagta hai
mujh mein rehta hai koi dushman-e-jaani mera
khud se tanhaai mein milte hue dar lagta hai
but bhi rakhe hain namaazen bhi ada hoti hain
dil mera dil nahin allah ka ghar lagta hai
zindagi tu ne mujhe qabr se kam di hai zameen
paanv failaaun to deewaar mein sar lagta hai
सर से पा तक वो गुलाबों का शजर लगता है
बा-वज़ू हो के भी छूते हुए डर लगता है
मैं तिरे साथ सितारों से गुज़र सकता हूँ
कितना आसान मोहब्बत का सफ़र लगता है
मुझ में रहता है कोई दुश्मन-ए-जानी मेरा
ख़ुद से तन्हाई में मिलते हुए डर लगता है
बुत भी रक्खे हैं नमाज़ें भी अदा होती हैं
दिल मेरा दिल नहीं अल्लाह का घर लगता है
ज़िंदगी तू ने मुझे क़ब्र से कम दी है ज़मीं
पाँव फैलाऊँ तो दीवार में सर लगता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Rose Shayari Shayari