ab intizaar mein shaayad andher ho jaaye
tumhaare aane mein lagta hai der ho jaaye
hamaara milna khudaaya bahut zaroori hai
mil aaye dono hi misre to sher ho jaaye
bas ek mas'ala hain tere chhoone mein jaanaan
tu jis kisi ko bhi chhoo le vo dher ho jaaye
yahan to dil ko hi khatra hai chaal chalne par
dil aisi jang mein kaise daler ho jaaye
sab apni apni mohabbat pe ab nazar rakhna
na jaane bazm mein kab her-pher ho jaaye
अब इंतिज़ार में शायद अँधेर हो जाए
तुम्हारे आने में लगता है देर हो जाए
हमारा मिलना ख़ुदाया बहुत ज़रूरी है
मिल आए दोनों ही मिसरे तो शेर हो जाए
बस एक मसअला हैं तेरे छूने में जानाँ
तू जिस किसी को भी छू ले वो ढेर हो जाए
यहाँ तो दिल को ही ख़तरा है चाल चलने पर
दिल ऐसी जंग में कैसे दलेर हो जाए
सब अपनी अपनी मोहब्बत पे अब नज़र रखना
न जाने बज़्म में कब हेर-फेर हो जाए
As you were reading Shayari by Bhuwan Singh
our suggestion based on Bhuwan Singh
As you were reading undefined Shayari