apna bhi hai qusoor ki khudsar ziyaada hain
kuchh ye ki is dayaar mein patthar ziyaada hain
bas ek vaar aur ki qissa tamaam ho
ehsaan yun bhi aapke ham par ziyaada hain
baahar kii ye shabeeh to parchhaai hai meri
maakus aaine mere andar ziyaada hain
shikra bulandiyon pe kahin taak mein na ho
is chhat pe aaj kal se kabootar ziyaada hain
dobara padh rahi hoon tumhaare khutoot ko
jinmein khuloos kam hain muattar ziyaada hain
sar kat chuka hai aur khabar tak nahin saba
beshak tumhaari teg mein jauhar ziyaada hain
अपना भी है क़ुसूर कि ख़ुदसर ज़ियादा हैं
कुछ ये कि इस दयार में पत्थर ज़ियादा हैं
बस एक वार और कि क़िस्सा तमाम हो
एहसान यूँ भी आपके हम पर ज़ियादा हैं
बाहर की ये शबीह तो परछाई है मिरी
माकूस आइने मिरे अंदर ज़ियादा हैं
शिकरा बुलंदियों पे कहीं ताक में न हो
इस छत पे आज कल से कबूतर ज़ियादा हैं
दोबारा पढ़ रही हूँ तुम्हारे ख़ुतूत को
जिनमें ख़ुलूस कम हैं मुअत्तर ज़ियादा हैं
सर कट चुका है और ख़बर तक नहीं 'सबा'
बेशक तुम्हारी तेग़ में जौहर ज़ियादा हैं
As you were reading Shayari by divya 'sabaa'
our suggestion based on divya 'sabaa'
As you were reading undefined Shayari