qudrat ne kitne rang milaayein hain saath saath
gulshan ke fool aise banaayein hain saath saath
keval jale nahin hain vo panne kitaab ke
nafrat ne phool bhi to jalaaen hain saath saath
ye kaam mahz aag kabhi kar na paayegi
sabko pata hi hai ke hawaaein hain saath saath
ye baat aur hai ki vo rishta nahin bacha
varna bahut se raaz chhupaayein hain saath saath
कुदरत ने कितने रंग मिलाएँ हैं साथ साथ
गुलशन के फ़ूल ऐसे बनाएँ हैं साथ साथ
केवल जले नहीं हैं वो पन्ने क़िताब के
नफरत ने फूल भी तो जलाएँ हैं साथ साथ
ये काम महज़ आग कभी कर न पाएगी
सबको पता ही है के हवाएँ हैं साथ साथ
ये बात और है कि वो रिश्ता नहीं बचा
वरना बहुत से राज़ छुपाएँ हैं साथ साथ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Divy Kamaldhwaj
our suggestion based on Divy Kamaldhwaj
As you were reading Bahan Shayari Shayari