goliyon se ye jawaan aag na bujh paayegi
gas fenkoge to kuchh aur bhi leharaayegi
ye jawaan aag jo har shehar mein jaag utthi hai
teergi dekh ke is aag ko bhag utthi hai
kab talak is se bachaoge tum apne daamaan
ye jawaan aag jala degi tumhaare aivaan
ye jawaan khoon bahaaya hai jo tum ne akshar
ye jawaan khoon nikal aaya hai ban ke lashkar
ye jawaan khoon siyah-raat ka rahne dega
dukh mein doobe hue haalaat na rahne dega
ye jawaan khoon hai mahlon pe lapkata toofaan
us ki yalghaar se har ahl-e-sitam hai larzaan
ye jawaan fikr tumhein khoon na peene degi
ghaasibo ab na tumhein chain se jeene degi
qaatilo raah se hat jaao ki ham aate hain
apne haathon mein liye surkh alam aate hain
tod degi ye jawaan fikr hisaar-e-zindaa
jaag utthe hain mere des ke bekas insaan
गोलियों से ये जवाँ आग न बुझ पाएगी
गैस फेंकोगे तो कुछ और भी लहराएगी
ये जवाँ आग जो हर शहर में जाग उट्ठी है
तीरगी देख के इस आग को भाग उट्ठी है
कब तलक इस से बचाओगे तुम अपने दामाँ
ये जवाँ आग जला देगी तुम्हारे ऐवाँ
ये जवाँ ख़ून बहाया है जो तुम ने अक्सर
ये जवाँ ख़ून निकल आया है बन के लश्कर
ये जवाँ ख़ून सियह-रात का रहने देगा
दुख में डूबे हुए हालात न रहने देगा
ये जवाँ ख़ून है महलों पे लपकता तूफ़ाँ
उस की यलग़ार से हर अहल-ए-सितम है लर्ज़ां
ये जवाँ फ़िक्र तुम्हें ख़ून न पीने देगी
ग़ासिबो अब न तुम्हें चैन से जीने देगी
क़ातिलो राह से हट जाओ कि हम आते हैं
अपने हाथों में लिए सुर्ख़ अलम आते हैं
तोड़ देगी ये जवाँ फ़िक्र हिसार-ए-ज़िन्दाँ
जाग उट्ठे हैं मिरे देस के बेकस इंसाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Gham Shayari Shayari