us raunat se vo jeete hain ki marna hi nahin | उस रऊनत से वो जीते हैं कि मरना ही नहीं - Habib Jalib

us raunat se vo jeete hain ki marna hi nahin
takht par baithe hain yun jaise utarna hi nahin

yun meh-o-anjum ki waadi mein ude firte hain vo
khaak ke zarroon pe jaise paanv dharna hi nahin

un ka da'wa hai ki suraj bhi unhi ka hai ghulaam
shab jo hum par aayi hai us ko guzarna hi nahin

kya ilaaj us ka agar ho muddaa un ka yahi
ehtimaam rang-o-boo gulshan mein karna hi nahin

zulm se hain barsar-e-paikaar azaadi-pasand
un pahaadon mein jahaan par koi jharna hi nahin

dil bhi un ke hain siyah khuraak-e-zindaan ki tarah
un se apna gham bayaan ab hum ko karna hi nahin

intiha kar len sitam ki log abhi hain khwaab mein
jaag utthe jab log to un ko theharna hi nahin

उस रऊनत से वो जीते हैं कि मरना ही नहीं
तख़्त पर बैठे हैं यूँ जैसे उतरना ही नहीं

यूँ मह-ओ-अंजुम की वादी में उड़े फिरते हैं वो
ख़ाक के ज़र्रों पे जैसे पाँव धरना ही नहीं

उन का दा'वा है कि सूरज भी उन्ही का है ग़ुलाम
शब जो हम पर आई है उस को गुज़रना ही नहीं

क्या इलाज उस का अगर हो मुद्दआ' उन का यही
एहतिमाम रंग-ओ-बू गुलशन में करना ही नहीं

ज़ुल्म से हैं बरसर-ए-पैकार आज़ादी-पसंद
उन पहाड़ों में जहाँ पर कोई झरना ही नहीं

दिल भी उन के हैं सियह ख़ूराक-ए-ज़िंदाँ की तरह
उन से अपना ग़म बयाँ अब हम को करना ही नहीं

इंतिहा कर लें सितम की लोग अभी हैं ख़्वाब में
जाग उट्ठे जब लोग तो उन को ठहरना ही नहीं

- Habib Jalib
0 Likes

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari