kabhi to meherbaan ho kar bula len | कभी तो मेहरबाँ हो कर बुला लें

  - Habib Jalib

kabhi to meherbaan ho kar bula len
ye mahvash ham faqeeron ki dua len

na jaane phir ye rut aaye na aaye
jawaan phoolon ki kuchh khushboo chura len

bahut roye zamaane ke liye ham
zara apne liye aansu baha len

ham un ko bhoolne waale nahin hain
samjhte hain gham-e-dauraan ki chaalein

hamaari bhi sambhal jaayegi haalat
vo pehle apni zulfen to sambhalen

nikalne ko hai vo mahtaab ghar se
sitaaron se kaho nazrein jhuka len

ham apne raaste par chal rahe hain
janaab-e-sheikh apna raasta len

zamaana to yoonhi rootha rahega
chalo jaalib unhen chal kar manaa len

कभी तो मेहरबाँ हो कर बुला लें
ये महवश हम फ़क़ीरों की दुआ लें

न जाने फिर ये रुत आए न आए
जवाँ फूलों की कुछ ख़ुश्बू चुरा लें

बहुत रोए ज़माने के लिए हम
ज़रा अपने लिए आँसू बहा लें

हम उन को भूलने वाले नहीं हैं
समझते हैं ग़म-ए-दौराँ की चालें

हमारी भी सँभल जाएगी हालत
वो पहले अपनी ज़ुल्फ़ें तो सँभालें

निकलने को है वो महताब घर से
सितारों से कहो नज़रें झुका लें

हम अपने रास्ते पर चल रहे हैं
जनाब-ए-शैख़ अपना रास्ता लें

ज़माना तो यूँही रूठा रहेगा
चलो 'जालिब' उन्हें चल कर मना लें

  - Habib Jalib

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari