phir dil se aa rahi hai sada us gali mein chal | फिर दिल से आ रही है सदा उस गली में चल

  - Habib Jalib

phir dil se aa rahi hai sada us gali mein chal
shaayad mile ghazal ka pata us gali mein chal

kab se nahin hua hai koi sher kaam ka
ye sher ki nahin hai fazaa us gali mein chal

vo baam o dar vo log vo ruswaaiyon ke zakham
hain sab ke sab aziz juda us gali mein chal

us phool ke baghair bahut jee udaas hai
mujh ko bhi saath le ke saba us gali mein chal

duniya to chahti hai yoonhi faasle rahein
duniya ke mashwaron pe na ja us gali mein chal

be-noor o be-asar hai yahan ki sada-e-saaz
tha us sukoot mein bhi maza us gali mein chal

jaalib pukaarti hain vo shola-nawaiyaan
ye sard rut ye sard hawa us gali mein chal

फिर दिल से आ रही है सदा उस गली में चल
शायद मिले ग़ज़ल का पता उस गली में चल

कब से नहीं हुआ है कोई शेर काम का
ये शेर की नहीं है फ़ज़ा उस गली में चल

वो बाम ओ दर वो लोग वो रुस्वाइयों के ज़ख़्म
हैं सब के सब अज़ीज़ जुदा उस गली में चल

उस फूल के बग़ैर बहुत जी उदास है
मुझ को भी साथ ले के सबा उस गली में चल

दुनिया तो चाहती है यूँही फ़ासले रहें
दुनिया के मशवरों पे न जा उस गली में चल

बे-नूर ओ बे-असर है यहाँ की सदा-ए-साज़
था उस सुकूत में भी मज़ा उस गली में चल

'जालिब' पुकारती हैं वो शोला-नवाइयाँ
ये सर्द रुत ये सर्द हवा उस गली में चल

  - Habib Jalib

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari