wahi haalaat hain faqeeron ke
din phire hain faqat waziroon ke
apna halka hai halka-e-zanjeer
aur halke hain sab ameeron ke
har bilaaval hai des ka maqrooz
paanv nange hain benazeeroon ke
wahi ahl-e-wafa ki soorat-e-haal
vaare nyaare hain be-zameeroon ke
saazishein hain wahi khilaaf-e-awaam
mashware hain wahi musheeroon ke
bediyaan saamraaj ki hain wahi
wahi din-raat hain asiroon ke
वही हालात हैं फ़क़ीरों के
दिन फिरे हैं फ़क़त वज़ीरों के
अपना हल्क़ा है हल्क़ा-ए-ज़ंजीर
और हल्क़े हैं सब अमीरों के
हर बिलावल है देस का मक़रूज़
पाँव नंगे हैं बेनज़ीरों के
वही अहल-ए-वफ़ा की सूरत-ए-हाल
वारे न्यारे हैं बे-ज़मीरों के
साज़िशें हैं वही ख़िलाफ़-ए-अवाम
मशवरे हैं वही मुशीरों के
बेड़ियाँ सामराज की हैं वही
वही दिन-रात हैं असीरों के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Haalaat Shayari Shayari