ik shakhs ba-zameer mera yaar musahfi | इक शख़्स बा-ज़मीर मिरा यार 'मुसहफ़ी'

  - Habib Jalib

ik shakhs ba-zameer mera yaar musahfi
meri tarah wafa ka parastaar musahfi

rehta tha kaj-kulaah ameeron ke darmiyaan
yaksar liye hue mera kirdaar musahfi

dete hain daad gair ko kab ahl-e-lucknow
kab daad ka tha un se talabgaar musahfi

na-qadri-e-jahaan se kai baar aa ke tang
ik umr she'r se raha bezaar musahfi

darbaar mein tha baar kahaan us gareeb ko
barson misaal-e-'meer fira khwaar musahfi

main ne bhi us gali mein guzaari hai ro ke umr
milta hai us gali mein kise pyaar musahfi

इक शख़्स बा-ज़मीर मिरा यार 'मुसहफ़ी'
मेरी तरह वफ़ा का परस्तार 'मुसहफ़ी'

रहता था कज-कुलाह अमीरों के दरमियाँ
यकसर लिए हुए मिरा किरदार 'मुसहफ़ी'

देते हैं दाद ग़ैर को कब अहल-ए-लखनऊ
कब दाद का था उन से तलबगार 'मुसहफ़ी'

ना-क़द्री-ए-जहाँ से कई बार आ के तंग
इक उम्र शे'र से रहा बेज़ार 'मुसहफ़ी'

दरबार में था बार कहाँ उस ग़रीब को
बरसों मिसाल-ए-'मीर' फिरा ख़्वार 'मुसहफ़ी'

मैं ने भी उस गली में गुज़ारी है रो के उम्र
मिलता है उस गली में किसे प्यार 'मुसहफ़ी'

  - Habib Jalib

Muflisi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Muflisi Shayari Shayari