she'r hota hai ab maheenon mein
zindagi dhal gai masheenon mein
pyaar ki raushni nahin milti
un makaanon mein un makeenon mein
dekh kar dosti ka haath badhaao
saanp hote hain aasteenon mein
qahar ki aankh se na dekh in ko
dil dhadakte hain aabgeenon mein
aasmaanon ki khair ho yaarab
ik naya azm hai zameenon mein
vo mohabbat nahin rahi jaalib
ham-safeeron mein ham-nasheeno mein
शे'र होता है अब महीनों में
ज़िंदगी ढल गई मशीनों में
प्यार की रौशनी नहीं मिलती
उन मकानों में उन मकीनों में
देख कर दोस्ती का हाथ बढ़ाओ
साँप होते हैं आस्तीनों में
क़हर की आँख से न देख इन को
दिल धड़कते हैं आबगीनों में
आसमानों की ख़ैर हो यारब
इक नया अज़्म है ज़मीनों में
वो मोहब्बत नहीं रही 'जालिब'
हम-सफ़ीरों में हम-नशीनों में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Dosti Shayari Shayari