log geeton ka nagar yaad aaya
aaj pardes mein ghar yaad aaya
jab chale aaye chaman-zaar se ham
iltifaat-e-gul-e-tar yaad aaya
teri begaana-nigaahi sar-e-shaam
ye sitam ta-b-sehr yaad aaya
ham zamaane ka sitam bhool gaye
jab tira lutf-e-nazar yaad aaya
to bhi masroor tha is shab sar-e-bazm
apne sher'on ka asar yaad aaya
phir hua dard-e-tamanna bedaar
phir dil-e-khaak-basar yaad aaya
ham jise bhool chuke the jaalib
phir wahi raahguzar yaad aaya
लोग गीतों का नगर याद आया
आज परदेस में घर याद आया
जब चले आए चमन-ज़ार से हम
इल्तिफ़ात-ए-गुल-ए-तर याद आया
तेरी बेगाना-निगाही सर-ए-शाम
ये सितम ता-ब-सहर याद आया
हम ज़माने का सितम भूल गए
जब तिरा लुत्फ़-ए-नज़र याद आया
तो भी मसरूर था इस शब सर-ए-बज़्म
अपने शे'रों का असर याद आया
फिर हुआ दर्द-ए-तमन्ना बेदार
फिर दिल-ए-ख़ाक-बसर याद आया
हम जिसे भूल चुके थे 'जालिब'
फिर वही राहगुज़र याद आया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Shahr Shayari Shayari