ye soch kar na maail-e-fariyaad ham hue
aabaad kab hue the ki barbaad ham hue
hota hai shaad-kaam yahan kaun ba-zameer
naashaad ham hue to bahut shaad ham hue
parvez ke jalaal se takraaye ham bhi hain
ye aur baat hai ki na farhaad ham hue
kuchh aise bha gaye hamein duniya ke dard-o-gham
koo-e-butaan mein bhooli hui yaad ham hue
jaalib tamaam umr hamein ye gumaan raha
us zulf ke khayal se azaad ham hue
ये सोच कर न माइल-ए-फ़रियाद हम हुए
आबाद कब हुए थे कि बर्बाद हम हुए
होता है शाद-काम यहाँ कौन बा-ज़मीर
नाशाद हम हुए तो बहुत शाद हम हुए
परवेज़ के जलाल से टकराए हम भी हैं
ये और बात है कि न फ़रहाद हम हुए
कुछ ऐसे भा गए हमें दुनिया के दर्द-ओ-ग़म
कू-ए-बुताँ में भूली हुई याद हम हुए
'जालिब' तमाम उम्र हमें ये गुमाँ रहा
उस ज़ुल्फ़ के ख़याल से आज़ाद हम हुए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Duniya Shayari Shayari