jaagne waalo ta-b-sehr khaamosh raho | जागने वालो ता-ब-सहर ख़ामोश रहो

  - Habib Jalib

jaagne waalo ta-b-sehr khaamosh raho
kal kya hoga kis ko khabar khaamosh raho

kis ne sehar ke paanv mein zanjeeren daaliin
ho jaayegi raat basar khaamosh raho

shaayad chup rahne mein izzat rah jaaye
chup hi bhali ai ahl-e-nazar khaamosh raho

qadam qadam par pahre hain in raahon mein
daar-o-rasan ka hai ye nagar khaamosh raho

yun bhi kahaan be-taabi-e-dil kam hoti hai
yun bhi kahaan aaraam magar khaamosh raho

sher ki baatein khatm hui is aalam mein
kaisa josh aur kis ka jigar khaamosh raho

जागने वालो ता-ब-सहर ख़ामोश रहो
कल क्या होगा किस को ख़बर ख़ामोश रहो

किस ने सहर के पाँव में ज़ंजीरें डालीं
हो जाएगी रात बसर ख़ामोश रहो

शायद चुप रहने में इज़्ज़त रह जाए
चुप ही भली ऐ अहल-ए-नज़र ख़ामोश रहो

क़दम क़दम पर पहरे हैं इन राहों में
दार-ओ-रसन का है ये नगर ख़ामोश रहो

यूँ भी कहाँ बे-ताबी-ए-दिल कम होती है
यूँ भी कहाँ आराम मगर ख़ामोश रहो

शेर की बातें ख़त्म हुईं इस आलम में
कैसा 'जोश' और किस का 'जिगर' ख़ामोश रहो

  - Habib Jalib

Motivational Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari