dil par jo zakham hain vo dikhaayein kisi ko kya | दिल पर जो ज़ख़्म हैं वो दिखाएँ किसी को क्या

  - Habib Jalib

dil par jo zakham hain vo dikhaayein kisi ko kya
apna shareek-e-dard banaayein kisi ko kya

har shakhs apne apne ghamon mein hai mubtala
zindaan mein apne saath rulaayein kisi ko kya

bichhde hue vo yaar vo chhode hue dayaar
rah rah ke ham ko yaad jo aayein kisi ko kya

rone ko apne haal pe tanhaai hai bahut
us anjuman mein khud pe hansaayein kisi ko kya

vo baat chhed jis mein jhalakta ho sab ka gham
yaadein kisi ki tujh ko sataayen kisi ko kya

soye hue hain log to honge sukoon se
ham jaagne ka rog lagaayein kisi ko kya

jaalib na aayega koi ahvaal poochne
den shehr-e-be-hisaan mein sadaaein kisi ko kya

दिल पर जो ज़ख़्म हैं वो दिखाएँ किसी को क्या
अपना शरीक-ए-दर्द बनाएँ किसी को क्या

हर शख़्स अपने अपने ग़मों में है मुब्तला
ज़िंदाँ में अपने साथ रुलाएँ किसी को क्या

बिछड़े हुए वो यार वो छोड़े हुए दयार
रह रह के हम को याद जो आएँ किसी को क्या

रोने को अपने हाल पे तन्हाई है बहुत
उस अंजुमन में ख़ुद पे हँसाएं किसी को क्या

वो बात छेड़ जिस में झलकता हो सब का ग़म
यादें किसी की तुझ को सताएं किसी को क्या

सोए हुए हैं लोग तो होंगे सुकून से
हम जागने का रोग लगाएँ किसी को क्या

'जालिब' न आएगा कोई अहवाल पूछने
दें शहर-ए-बे-हिसाँ में सदाएँ किसी को क्या

  - Habib Jalib

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari