darakht sookh gaye ruk gaye nadi naale
ye kis nagar ko ravana hue hain ghar waale
kahaaniyaan jo sunaate the ahd-e-rafta ki
nishaan vo gardish-e-ayyaam ne mita dale
main shehar shehar fira hoon isee tamannaa mein
kisi ko apna kahoon koi mujh ko apna le
sada na de kisi mahtaab ko andheron mein
laga na de ye zamaana zabaan par taale
koi kiran hai yahan to koi kiran hai wahan
dil o nigaah ne kis darja rog hain pale
humeen pe un ki nazar hai humeen pe un ka karam
ye aur baat yahan aur bhi hain dil waale
kuchh aur tujh pe khulengi haqeeqaten jaalib
jo ho sake to kisi ka fareb bhi kha le
दरख़्त सूख गए रुक गए नदी नाले
ये किस नगर को रवाना हुए हैं घर वाले
कहानियाँ जो सुनाते थे अहद-ए-रफ़्ता की
निशाँ वो गर्दिश-ए-अय्याम ने मिटा डाले
मैं शहर शहर फिरा हूँ इसी तमन्ना में
किसी को अपना कहूँ कोई मुझ को अपना ले
सदा न दे किसी महताब को अंधेरों में
लगा न दे ये ज़माना ज़बान पर ताले
कोई किरन है यहाँ तो कोई किरन है वहाँ
दिल ओ निगाह ने किस दर्जा रोग हैं पाले
हमीं पे उन की नज़र है हमीं पे उन का करम
ये और बात यहाँ और भी हैं दिल वाले
कुछ और तुझ पे खुलेंगी हक़ीक़तें 'जालिब'
जो हो सके तो किसी का फ़रेब भी खा ले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Environment Shayari Shayari