aur sab bhool gaye harf-e-sadaqat likhna | और सब भूल गए हर्फ़-ए-सदाक़त लिखना

  - Habib Jalib

aur sab bhool gaye harf-e-sadaqat likhna
rah gaya kaam hamaara hi bagaavat likhna

laakh kahte rahein zulmat ko na zulmat likhna
ham ne seekha nahin pyaare b-ijaazat likhna

na sile ki na sataish ki tamannaa ham ko
haq mein logon ke hamaari to hai aadat likhna

ham ne jo bhool ke bhi shah ka qaseeda na likha
shaayad aaya isee khoobi ki badaulat likhna

is se badh kar meri tahseen bhala kya hogi
padh ke na-khush hain mera saahab-e-sarvat likhna

dehr ke gham se hua rabt to ham bhool gaye
sarv qamat ko jawaani ko qayamat likhna

kuchh bhi kahte hain kahi shah ke musahib jaalib
rang rakhna yahi apna isee soorat likhna

और सब भूल गए हर्फ़-ए-सदाक़त लिखना
रह गया काम हमारा ही बग़ावत लिखना

लाख कहते रहें ज़ुल्मत को न ज़ुल्मत लिखना
हम ने सीखा नहीं प्यारे ब-इजाज़त लिखना

न सिले की न सताइश की तमन्ना हम को
हक़ में लोगों के हमारी तो है आदत लिखना

हम ने जो भूल के भी शह का क़सीदा न लिखा
शायद आया इसी ख़ूबी की बदौलत लिखना

इस से बढ़ कर मिरी तहसीन भला क्या होगी
पढ़ के ना-ख़ुश हैं मिरा साहब-ए-सरवत लिखना

दहर के ग़म से हुआ रब्त तो हम भूल गए
सर्व क़ामत को जवानी को क़यामत लिखना

कुछ भी कहते हैं कहीं शह के मुसाहिब 'जालिब'
रंग रखना यही अपना इसी सूरत लिखना

  - Habib Jalib

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari