dil-e-pur-shauq ko pahluu mein dabaye rakha | दिल-ए-पुर-शौक़ को पहलू में दबाए रक्खा - Habib Jalib

dil-e-pur-shauq ko pahluu mein dabaye rakha
tujh se bhi ham ne tira pyaar chhupaaye rakha

chhod is baat ko ai dost ki tujh se pehle
ham ne kis kis ko khayaalon mein basaaye rakha

gair mumkin thi zamaane ke ghamon se furqat
phir bhi ham ne tira gham dil mein basaaye rakha

phool ko phool na kahte so use kya kahte
kya hua gair ne collar pe sajaaye rakha

jaane kis haal mein hain kaun se shehron mein hain vo
zindagi apni jinhen ham ne banaaye rakha

haaye kya log the vo log pari-chehra log
ham ne jin ke liye duniya ko bhulaaye rakha

ab milen bhi to na pehchaan saken ham un ko
jin ko ik umr khayaalon mein basaaye rakha

दिल-ए-पुर-शौक़ को पहलू में दबाए रक्खा
तुझ से भी हम ने तिरा प्यार छुपाए रक्खा

छोड़ इस बात को ऐ दोस्त कि तुझ से पहले
हम ने किस किस को ख़यालों में बसाए रक्खा

ग़ैर मुमकिन थी ज़माने के ग़मों से फ़ुर्सत
फिर भी हम ने तिरा ग़म दिल में बसाए रक्खा

फूल को फूल न कहते सो उसे क्या कहते
क्या हुआ ग़ैर ने कॉलर पे सजाए रक्खा

जाने किस हाल में हैं कौन से शहरों में हैं वो
ज़िंदगी अपनी जिन्हें हम ने बनाए रक्खा

हाए क्या लोग थे वो लोग परी-चेहरा लोग
हम ने जिन के लिए दुनिया को भुलाए रक्खा

अब मिलें भी तो न पहचान सकें हम उन को
जिन को इक उम्र ख़यालों में बसाए रक्खा

- Habib Jalib
1 Like

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari