aag hai phaili hui kaali ghataon ki jagah
bad-duaaein hain labon par ab duaon ki jagah
intikhaab-e-ahl-e-gulshan par bahut rota hai dil
dekh kar zaagh-o-zagn ko khush-navaaon ki jagah
kuchh bhi hota par na hote paara-paara jism-o-jaan
raahzan hote agar un rahnumaaon ki jagah
loot gai is daur mein ahl-e-qalam ki aabroo
bik rahe hain ab sahafi besavaaon ki jagah
kuchh to aata ham ko bhi jaan se guzarne ka maza
gair hote kaash jaalib aashnaon ki jagah
आग है फैली हुई काली घटाओं की जगह
बद-दुआएँ हैं लबों पर अब दुआओं की जगह
इंतिख़ाब-ए-अहल-ए-गुलशन पर बहुत रोता है दिल
देख कर ज़ाग़-ओ-ज़ग़्न को ख़ुश-नवाओं की जगह
कुछ भी होता पर न होते पारा-पारा जिस्म-ओ-जाँ
राहज़न होते अगर उन रहनुमाओं की जगह
लुट गई इस दौर में अहल-ए-क़लम की आबरू
बिक रहे हैं अब सहाफ़ी बेसवाओं की जगह
कुछ तो आता हम को भी जाँ से गुज़रने का मज़ा
ग़ैर होते काश 'जालिब' आश्नाओं की जगह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Masti Shayari Shayari