jeevan mujh se main jeevan se sharmaata hoon
mujh se aage jaane waalo mein aata hoon
jin ki yaadon se raushan hain meri aankhen
dil kehta hai un ko bhi main yaad aata hoon
sur se saanson ka naata hai todoo kaise
tum jalte ho kyun jeeta hoon kyun gaata hoon
tum apne daaman mein sitaare baith kar taanko
aur main naye barn lafzon ko pahnaata hoon
jin khwaabon ko dekh ke main ne jeena seekha
un ke aage har daulat ko thukraata hoon
zahar ugalte hain jab mil kar duniya waale
meethe bolon ki waadi mein kho jaata hoon
jaalib mere sher samajh mein aa jaate hain
isee liye kam-rutba shaayar kahlaata hoon
जीवन मुझ से मैं जीवन से शरमाता हूँ
मुझ से आगे जाने वालो में आता हूँ
जिन की यादों से रौशन हैं मेरी आँखें
दिल कहता है उन को भी मैं याद आता हूँ
सुर से साँसों का नाता है तोड़ूँ कैसे
तुम जलते हो क्यूँ जीता हूँ क्यूँ गाता हूँ
तुम अपने दामन में सितारे बैठ कर टाँको
और मैं नए बरन लफ़्ज़ों को पहनाता हूँ
जिन ख़्वाबों को देख के मैं ने जीना सीखा
उन के आगे हर दौलत को ठुकराता हूँ
ज़हर उगलते हैं जब मिल कर दुनिया वाले
मीठे बोलों की वादी में खो जाता हूँ
'जालिब' मेरे शेर समझ में आ जाते हैं
इसी लिए कम-रुत्बा शाएर कहलाता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Greed Shayari Shayari