dushmanon ne jo dushmani ki hai
doston ne bhi kya kami ki hai
khaamoshi par hain log zer-e-itaab
aur ham ne to baat bhi ki hai
mutmain hai zameer to apna
baat saari zameer hi ki hai
apni to dastaan hai bas itni
gham uthaaye hain shaayeri ki hai
ab nazar mein nahin hai ek hi phool
fikr ham ko kali kali ki hai
pa sakenge na umr bhar jis ko
justuju aaj bhi usi ki hai
jab mah-o-mahr bujh gaye jaalib
ham ne ashkon se raushni ki hai
दुश्मनों ने जो दुश्मनी की है
दोस्तों ने भी क्या कमी की है
ख़ामुशी पर हैं लोग ज़ेर-ए-इताब
और हम ने तो बात भी की है
मुतमइन है ज़मीर तो अपना
बात सारी ज़मीर ही की है
अपनी तो दास्ताँ है बस इतनी
ग़म उठाए हैं शाएरी की है
अब नज़र में नहीं है एक ही फूल
फ़िक्र हम को कली कली की है
पा सकेंगे न उम्र भर जिस को
जुस्तुजू आज भी उसी की है
जब मह-ओ-महर बुझ गए 'जालिब'
हम ने अश्कों से रौशनी की है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Chehra Shayari Shayari