ham aawaara gaav gaav basti basti firne waale
ham se preet badha kar koi muft mein kyun gham ko apna le
ye bheegi bheegi barsaatein ye mahtaab ye raushan raatein
dil hi na ho to jhooti baatein kya andhiyaare kya ujiyaale
gunche royen kaliyaan royen ro ro apni aankhen khoyen
chain se lambi taan ke soyen is fulwaari ke rakhwaale
dard-bhare geeton ki maala japte japte jeevan guzra
kis ne sooni hain kaun sunega dil ki baatein dil ke naale
हम आवारा गाँव गाँव बस्ती बस्ती फिरने वाले
हम से प्रीत बढ़ा कर कोई मुफ़्त में क्यूँ ग़म को अपना ले
ये भीगी भीगी बरसातें ये महताब ये रौशन रातें
दिल ही न हो तो झूटी बातें क्या अँधियारे क्या उजियाले
ग़ुंचे रोएँ कलियाँ रोएँ रो रो अपनी आँखें खोएँ
चैन से लम्बी तान के सोएँ इस फुलवारी के रखवाले
दर्द-भरे गीतों की माला जपते जपते जीवन गुज़रा
किस ने सुनी हैं कौन सुनेगा दिल की बातें दिल के नाले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Gham Shayari Shayari