is shehr-e-kharaabi mein gham-e-ishq ke maare | इस शहर-ए-ख़राबी में ग़म-ए-इश्क़ के मारे - Habib Jalib

is shehr-e-kharaabi mein gham-e-ishq ke maare
zinda hain yahi baat badi baat hai pyaare

ye hansta hua chaand ye pur-noor sitaare
taabinda o paainda hain zarroon ke sahaare

hasrat hai koi guncha humein pyaar se dekhe
armaan hai koi phool humein dil se pukaare

har subh meri subh pe roti rahi shabnam
har raat meri raat pe hanste rahe taare

kuch aur bhi hain kaam humein ai gham-e-jaanaan
kab tak koi uljhi hui zulfon ko sanwaare

इस शहर-ए-ख़राबी में ग़म-ए-इश्क़ के मारे
ज़िंदा हैं यही बात बड़ी बात है प्यारे

ये हँसता हुआ चाँद ये पुर-नूर सितारे
ताबिंदा ओ पाइंदा हैं ज़र्रों के सहारे

हसरत है कोई ग़ुंचा हमें प्यार से देखे
अरमाँ है कोई फूल हमें दिल से पुकारे

हर सुब्ह मिरी सुब्ह पे रोती रही शबनम
हर रात मिरी रात पे हँसते रहे तारे

कुछ और भी हैं काम हमें ऐ ग़म-ए-जानाँ
कब तक कोई उलझी हुई ज़ुल्फ़ों को सँवारे

- Habib Jalib
0 Likes

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari