jhooti khabren gadne waale jhoote sher sunaane waale | झूटी ख़बरें गड़ने वाले झूटे शेर सुनाने वाले

  - Habib Jalib

jhooti khabren gadne waale jhoote sher sunaane waale
logon sabr ki apne kiye ki jald saza hain paane waale

dard aankhon se bahta hai aur chehra sab kuchh kehta hai
ye mat likkho vo mat likkho aaye bade samjhaane waale

khud kaatenge apni mushkil khud paayenge apni manzil
raahzanon se bhi badtar hain raahnuma kahlaane waale

un se pyaar kiya hai hamne un ki raah mein ham baithe hain
naamumkin hai jin ka milna aur nahin jo aane waale

un par bhi hansati thi duniya aawaazen kasti thi duniya
jaalib apni hi soorat the ishq mein jaanse jaane waale

झूटी ख़बरें गड़ने वाले झूटे शेर सुनाने वाले
लोगों सब्र कि अपने किए की जल्द सज़ा हैं पाने वाले

दर्द आंखों से बहता है और चेहरा सब कुछ कहता है
ये मत लिक्खो वो मत लिक्खो आए बड़े समझाने वाले

ख़ुद काटेंगे अपनी मुश्किल ख़ुद पाएंगे अपनी मंज़िल
राहज़नों से भी बदतर हैं राहनुमा कहलाने वाले

उन से प्यार किया है हमने उन की राह में हम बैठे हैं
नामुम्किन है जिन का मिलना और नहीं जो आने वाले

उन पर भी हंसती थी दुनिया आवाज़ें कसती थी दुनिया
'जालिब' अपनी ही सूरत थे इश्क़ में जांसे जाने वाले

  - Habib Jalib

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari