ye jo shab ke aivaanon mein ik halchal ik hashr bapaa hai | ये जो शब के ऐवानों में इक हलचल इक हश्र बपा है

  - Habib Jalib

ye jo shab ke aivaanon mein ik halchal ik hashr bapaa hai
ye jo andhera simat raha hai ye jo ujaala phail raha hai

ye jo har dukh sahne waala dukh ka mudaava jaan gaya hai
mazloomon majbooron ka gham ye jo mere sher'on mein dhala hai

ye jo mahak gulshan gulshan hai ye jo chamak aalam aalam hai
maarksizm hai maarksizm hai maarksizm hai maarksizm hai

ये जो शब के ऐवानों में इक हलचल इक हश्र बपा है
ये जो अंधेरा सिमट रहा है ये जो उजाला फैल रहा है

ये जो हर दुख सहने वाला दुख का मुदावा जान गया है
मज़लूमों मजबूरों का ग़म ये जो मिरे शे'रों में ढला है

ये जो महक गुलशन गुलशन है ये जो चमक आलम आलम है
मार्कसिज़्म है मार्कसिज़्म है मार्कसिज़्म है मार्कसिज़्म है

  - Habib Jalib

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari