jhooti khabren ghaddne waale jhoote she'r sunaane waale | झूटी ख़बरें घड़ने वाले झूटे शे'र सुनाने वाले - Habib Jalib

jhooti khabren ghaddne waale jhoote she'r sunaane waale
logo sabr ki apne kiye ki jald saza hain paane waale

dard aankhon se bahta hai aur chehra sab kuch kehta hai
ye mat likkho vo mat likkho aaye bade samjhaane waale

khud kaatenge apni mushkil khud paayenge apni manzil
raahzanon se bhi bad-tar hain raah-numa kahlaane waale

un se pyaar kiya hai hum ne un ki raah mein hum baithe hain
naa-mumkin hai jin ka milna aur nahin jo aane waale

un par bhi hansati thi duniya aawaazen kasti thi duniya
jaalib apni hi soorat the ishq mein jaan se jaane waale

झूटी ख़बरें घड़ने वाले झूटे शे'र सुनाने वाले
लोगो सब्र कि अपने किए की जल्द सज़ा हैं पाने वाले

दर्द आँखों से बहता है और चेहरा सब कुछ कहता है
ये मत लिक्खो वो मत लिक्खो आए बड़े समझाने वाले

ख़ुद काटेंगे अपनी मुश्किल ख़ुद पाएँगे अपनी मंज़िल
राहज़नों से भी बद-तर हैं राह-नुमा कहलाने वाले

उन से प्यार किया है हम ने उन की राह में हम बैठे हैं
ना-मुम्किन है जिन का मिलना और नहीं जो आने वाले

उन पर भी हँसती थी दुनिया आवाज़ें कसती थी दुनिया
'जालिब' अपनी ही सूरत थे इश्क़ में जाँ से जाने वाले

- Habib Jalib
0 Likes

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari