kuchh log khayaalon se chale jaayen to soyen
beete hue din raat na yaad aayein to soyen
chehre jo kabhi ham ko dikhaai nahin denge
aa aa ke tasavvur mein na tardpaayein to soyen
barsaat ki rut ke vo tarab-rez manaazir
seene mein na ik aag si bharkaayein to soyen
subhon ke muqaddar ko jagaate hue mukhde
aanchal jo nigaahon mein na leharaayen to soyen
mehsoos ye hota hai abhi jaag rahe hain
lahore ke sab yaar bhi so jaayen to soyen
कुछ लोग ख़यालों से चले जाएँ तो सोएँ
बीते हुए दिन रात न याद आएँ तो सोएँ
चेहरे जो कभी हम को दिखाई नहीं देंगे
आ आ के तसव्वुर में न तड़पाएँ तो सोएँ
बरसात की रुत के वो तरब-रेज़ मनाज़िर
सीने में न इक आग सी भड़काएँ तो सोएँ
सुब्हों के मुक़द्दर को जगाते हुए मुखड़े
आँचल जो निगाहों में न लहराएँ तो सोएँ
महसूस ये होता है अभी जाग रहे हैं
लाहौर के सब यार भी सो जाएँ तो सोएँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Dost Shayari Shayari