tum se pehle vo jo ik shakhs yahan takht-nasheen tha | तुम से पहले वो जो इक शख़्स यहाँ तख़्त-नशीं था

  - Habib Jalib

tum se pehle vo jo ik shakhs yahan takht-nasheen tha
us ko bhi apne khuda hone pe itna hi yaqeen tha

koi thehra ho jo logon ke muqaabil to batao
vo kahaan hain ki jinhen naaz bahut apne tai tha

aaj soye hain tah-e-khaak na jaane yahan kitne
koi shola koi shabnam koi mahtaab-jabeen tha

ab vo firte hain isee shehar mein tanhaa liye dil ko
ik zamaane mein mizaaj un ka sar-e-arsh-e-bareen tha

chhodna ghar ka hamein yaad hai jaalib nahin bhule
tha watan zehan mein apne koi zindaan to nahin tha

तुम से पहले वो जो इक शख़्स यहाँ तख़्त-नशीं था
उस को भी अपने ख़ुदा होने पे इतना ही यक़ीं था

कोई ठहरा हो जो लोगों के मुक़ाबिल तो बताओ
वो कहाँ हैं कि जिन्हें नाज़ बहुत अपने तईं था

आज सोए हैं तह-ए-ख़ाक न जाने यहाँ कितने
कोई शोला कोई शबनम कोई महताब-जबीं था

अब वो फिरते हैं इसी शहर में तन्हा लिए दिल को
इक ज़माने में मिज़ाज उन का सर-ए-अर्श-ए-बरीं था

छोड़ना घर का हमें याद है 'जालिब' नहीं भूले
था वतन ज़ेहन में अपने कोई ज़िंदाँ तो नहीं था

  - Habib Jalib

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari