phir kabhi laut kar na aayenge | फिर कभी लौट कर न आएँगे - Habib Jalib

phir kabhi laut kar na aayenge
ham tira shehar chhod jaayenge

door-ufaadaa bastiyon mein kahi
teri yaadon se lau lagaaenge

sham-e-maah-o-nujoom gul kar ke
aansuon ke diye jalaainge

aakhiri baar ik ghazal sun lo
aakhiri baar ham sunaayenge

soorat-e-mauja-e-hawa jaalib
saari duniya ki khaak udaayenge

फिर कभी लौट कर न आएँगे
हम तिरा शहर छोड़ जाएँगे

दूर-उफ़्तादा बस्तियों में कहीं
तेरी यादों से लौ लगाएँगे

शम-ए-माह-ओ-नुजूम गुल कर के
आँसुओं के दिए जलाएँगे

आख़िरी बार इक ग़ज़ल सुन लो
आख़िरी बार हम सुनाएँगे

सूरत-ए-मौजा-ए-हवा 'जालिब'
सारी दुनिया की ख़ाक उड़ाएँगे

- Habib Jalib
1 Like

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari