khud ko itna jo hawa-daar samajh rakha hai | ख़ुद को इतना जो हवा-दार समझ रक्खा है

  - Haseeb Soz

khud ko itna jo hawa-daar samajh rakha hai
kya hamein ret ki deewaar samajh rakha hai

ham ne kirdaar ko kapdon ki tarah pahna hai
tum ne kapdon hi ko kirdaar samajh rakha hai

meri sanjeeda tabeeyat pe bhi shak hai sab ko
baaz logon ne to beemaar samajh rakha hai

us ko khud-daari ka kya paath padaaya jaaye
bheek ko jis ne purus-kaar samajh rakha hai

tu kisi din kahi be-maut na maara jaaye
tu ne yaaron ko madad-gaar samajh rakha hai

ख़ुद को इतना जो हवा-दार समझ रक्खा है
क्या हमें रेत की दीवार समझ रक्खा है

हम ने किरदार को कपड़ों की तरह पहना है
तुम ने कपड़ों ही को किरदार समझ रक्खा है

मेरी संजीदा तबीअत पे भी शक है सब को
बाज़ लोगों ने तो बीमार समझ रक्खा है

उस को ख़ुद-दारी का क्या पाठ पढ़ाया जाए
भीक को जिस ने पुरुस-कार समझ रक्खा है

तू किसी दिन कहीं बे-मौत न मारा जाए
तू ने यारों को मदद-गार समझ रक्खा है

  - Haseeb Soz

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haseeb Soz

As you were reading Shayari by Haseeb Soz

Similar Writers

our suggestion based on Haseeb Soz

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari