parinda qaid mein kul aasmaan bhool gaya
rihaa to ho gaya lekin udaan bhool gaya
mere shikaar ko tarkash mein teer laaya magar
vo meri jaan ka dushman kamaan bhool gaya
use to yaad hai saara jahaan mere siva
main us yaad mein saara jahaan bhool gaya
vo shakhs zindagi bhar ka thaka hua tha magar
jo paanv qabr mein rakhe thakaan bhool gaya
ghareeb-e-shehr ne rakhi hai aabroo warna
ameer-e-shahr to urdu zabaan bhool gaya
tamaam shehar ka naqsha banaane waala raza
junoon-e-shauq mein apna makaan bhool gaya
परिंदा क़ैद में कुल आसमान भूल गया
रिहा तो हो गया लेकिन उड़ान भूल गया
मिरे शिकार को तरकश में तीर लाया मगर
वो मेरी जान का दुश्मन कमान भूल गया
उसे तो याद है सारा जहान मेरे सिवा
मैं उस याद में सारा जहान भूल गया
वो शख़्स ज़िंदगी भर का थका हुआ था मगर
जो पाँव क़ब्र में रक्खे थकान भूल गया
ग़रीब-ए-शहर ने रक्खी है आबरू वर्ना
अमीर-ए-शहर तो उर्दू ज़बान भूल गया
तमाम शहर का नक़्शा बनाने वाला 'रज़ा'
जुनून-ए-शौक़ में अपना मकान भूल गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hashim Raza Jalalpuri
our suggestion based on Hashim Raza Jalalpuri
As you were reading Promise Shayari Shayari