jo hai sahi kharab hai | जो है सही ख़राब है - Saagar Singh Rajput

jo hai sahi kharab hai
ye aaj ka hisaab hai

har shakhs ab shareef hai
be yaar kya azaab hai

main aaj se tira nahin
tujhko mera jawaab hai

dekha use abhi abhi
khilta hua gulaab hai

maaloom hai use ki vo
har ik se la-jawaab hai

usko nahin pata ki vo
chadhti hui sharaab hai

usko nahin pasand main
qismat meri kharab hai

tumne qubool kar liya
is baat ka ruaab hai

kuchh bhi nahin chhupa hua
saagar khuli kitaab hai

जो है सही ख़राब है
ये आज का हिसाब है

हर शख़्स अब शरीफ़ है
बे यार क्या अज़ाब है

मैं आज से तिरा नहीं
तुझको मिरा जवाब है

देखा उसे अभी अभी
खिलता हुआ गुलाब है

मालूम है उसे कि वो
हर इक से ला-जवाब है

उसको नहीं पता कि वो
चढ़ती हुई शराब है

उसको नहीं पसंद मैं
क़िस्मत मिरी ख़राब है

तुमने क़ुबूल कर लिया
इस बात का रुआब है

कुछ भी नहीं छुपा हुआ
'सागर' खुली किताब है

- Saagar Singh Rajput
1 Like

More by Saagar Singh Rajput

As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput

Similar Writers

our suggestion based on Saagar Singh Rajput

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari