vo tabassum tha jahaan shaayad wahin par rah gaya
meri aankhon ka har ik manzar kahi par rah gaya
main to ho kar aa gaya azaad us ki qaid se
dil magar is jald-baazi mein wahin par rah gaya
kaun sajdon mein nihaan hai jo mujhe dikhta nahin
kis ke bose ka nishaan meri jabeen par rah gaya
ham ko akshar ye khayal aata hai us ko dekh kar
ye sitaara kaise ghalti se zameen par rah gaya
ham labon ko khol hi kab paaye us ke saamne
ik naya ilzaam phir dekho humeen par rah gaya
वो तबस्सुम था जहाँ शायद वहीं पर रह गया
मेरी आँखों का हर इक मंज़र कहीं पर रह गया
मैं तो हो कर आ गया आज़ाद उस की क़ैद से
दिल मगर इस जल्द-बाज़ी में वहीं पर रह गया
कौन सज्दों में निहाँ है जो मुझे दिखता नहीं
किस के बोसे का निशाँ मेरी जबीं पर रह गया
हम को अक्सर ये ख़याल आता है उस को देख कर
ये सितारा कैसे ग़लती से ज़मीं पर रह गया
हम लबों को खोल ही कब पाए उस के सामने
इक नया इल्ज़ाम फिर देखो हमीं पर रह गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Imtiyaz Khan
our suggestion based on Imtiyaz Khan
As you were reading Lab Shayari Shayari