koi dam bhi main kab andar raha hoon | कोई दम भी मैं कब अंदर रहा हूँ

  - Jaun Elia

koi dam bhi main kab andar raha hoon
liye hain saans aur baahar raha hoon

dhuen mein saans hain saanson mein pal hain
main raushan-daan tak bas mar raha hoon

fana har dam mujhe ginti rahi hai
main ik dam ka tha aur din bhar raha hoon

zara ik saans roka to laga yun
ki itni der apne ghar raha hoon

b-juz apne mayassar hai mujhe kya
so khud se apni jeben bhar raha hoon

hamesha zakham pahunchen hain mujhi ko
hamesha main pas-e-lashkar raha hoon

lita de neend ke bistar pe ai raat
main din bhar apni palkon par raha hoon

कोई दम भी मैं कब अंदर रहा हूँ
लिए हैं साँस और बाहर रहा हूँ

धुएँ में साँस हैं साँसों में पल हैं
मैं रौशन-दान तक बस मर रहा हूँ

फ़ना हर दम मुझे गिनती रही है
मैं इक दम का था और दिन भर रहा हूँ

ज़रा इक साँस रोका तो लगा यूँ
कि इतनी देर अपने घर रहा हूँ

ब-जुज़ अपने मयस्सर है मुझे क्या
सो ख़ुद से अपनी जेबें भर रहा हूँ

हमेशा ज़ख़्म पहुँचे हैं मुझी को
हमेशा मैं पस-ए-लश्कर रहा हूँ

लिटा दे नींद के बिस्तर पे ऐ रात
मैं दिन भर अपनी पलकों पर रहा हूँ

  - Jaun Elia

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaun Elia

As you were reading Shayari by Jaun Elia

Similar Writers

our suggestion based on Jaun Elia

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari